Saal Ka Aakhiri Din
Dekhte Dekhte saal ka aakhiri din bhi aagaya aur kuch ghanto mai naya saal shuru ho jaayega. Janta hu ki mai bahut dino se yaha nahi tha aur ye bhi jaanta hu ki kisi ne mujhe yaad bhi nahi kiya hoga. Ab to aadat hai ekant mai rehne ki, akele chalne ki. Ye saal mere liye kuch khaas nahi tha kyunki issi saal maine apne uss sapne ko alvida kaha jise maine kabhi saalo pehle bade shiddat se sajaya tha. Though mai aage badh chuka hu par ye regret humesha rahega ki mai apne us sapne ko pura nahi kar paaya. Par iss sal maine ek baat jaani Life mai na kai esi chize hongi jo shayad aapke anusar na ho ya phir according to the plan na ho par then aap yeh bhi sikhoge ki in life not everything goes as per your plan. Aapko zindagi ke har mod par apna plan badalna par sakta hai par that doesn't change your ultimate destination. Hum jo aksar sochte hai vaisa hota nahi hai jis kaaran hume apne raaste badalne padte hai par aksar iss pher badal mai hum yeh bhul jaate hai ki antataha hume manzil se matlab hai. Kehte hai its the journey that matters not the destination par mai kehta hu ki its the destination that matters most kyunki raaste kai ho sakte hai manjil tak pahunchne ko jaise kisi ghar mai ghusne ke liye kai darwaze. In sabhi baaton se mai sirf yahi kehna chahta hu ki jis tarah maine jaana ki manjil ko paana humara antim lakshya hona chahiye chahe phir aapko apne raaste ko kitni hi baar kyun na badalna pade usi tarah aapko bhi manjil ki aur dhyan dena chahiye kyunki ant mai ye duniya aapke gantavya ko hi dekhegi.Jyada nahi likhunga kyunki aaj sab utsah mai hai aur mai unke utsah mai badha nahi daalna chahta. Aane vaala varsh aap sabhi ke liye mangalmay ho ye meri aasha hai. Milte hai agle saal aur milte rahenge bar baar 2024 mai.
No comments:
Post a Comment