Ek Nayi Shuruat
Agar aap yaha par ho aur isse padh rahe ho to shayad aap mujhe samajhte ho. Mai aap logo jaisa hi hu ek sidha saadha insaan jo apne zindagi ke maksad ko dhundh raha hai. Iss blogs ke madhyam se mai apne vichar (thoughts),apni manpasand chize aur duniya ke saare un vishayo ke baare mai baat karunga jo aap jaanna chahte ho.Mai aap ko inn chhote chhote blogs ke through apne aap se aur aapko aapke aap se milvane ki koshish karunga.Shayad aapko ye abhi sunn kar thoda bachkana lage par jab aap mere saath iss safar pe nikloge tab aap jaanoge ki mai sahi tha. Maine likhna isliye shuru nahi kiya tha kyunki mujhe kuch alag karna tha, esa maine isliye kiya kyunki mujhe likhne mai ek alag sa maja aata hai. Jo baatein mai kisi se nahin kar sakta voh mai kaagaz ke kore panno par likh deta hu aur shayad ab is blogs par likha karunga.Yaha aapko sirf kisse ya kahaniya hi nahi milegi, yaha aapko aadhunik takniki ( modern technologies) aur paryattan (travel),ankahe ansune raaz sabhi ke baare mai jaanne ko milega. Ye wada karta hu mai ki aapka samay yaha bahut accha bitega. To der kis baat ki padhna shuru kijiye .
Here in this, blog you will find everything you want to consume from tech, stories, programming, science, spirituality, motivation, random snippets from anything to everything.
You will have a wonderful time here so please enjoy this wonderful journey with me.
In coming, days you will be getting blogs about my life stories, travel blogs, poetry, tech stuffs, Will soon be publishing a blog about AI in simple terms to let people know about it.
The Blogs will be published in English, Hindi and Hinglish.
This blog will be your one to go place for all your needs and requirements.
Inn sabhi chizo mai aapko yeh batana to bhul hi gaya ki mai kaun hu.
Hi, I am Ayush Upadhyay, a guy exploring the ifs and buts of this world and sharing my experiences that I have gained in this small tenure of years in this world.
See you soon tab tak aapke liye ek advise,
Chhoti Chhoti chizo mai khushiyan dhundhna shuru karo, Zindagi khubsurat lagne lagegi.
No comments:
Post a Comment